Thursday, January 23, 2020

Zroori tha



              Zroori tha

Lafz Kitny Tery Pairon Se Lipty Honge

Tuny Jab Aakhri Khat Mera Jalaya Hoga

Tuny Jab Phool Kitaabon Se Nikaale Honge

Deny Waala Bhi Tujhe Yaad Toh Aaya Hoga


Teri Aankhon Ke Dariya Ka

Utarna Bhi Zaroori Tha

Mohabbat Bhi Zaroori Thi

Bichhadna Bhi Zaroori Tha

Zaroori Tha Ke Hum Dono

Tawafein Aarzoo Karte

Magar Phir Aarzuon Ka

Bikharna Bhi Zaroori Tha

Teri Aankhon Ke Dariya Ka

Utarna Bhi Zaroori Tha


Bataao Yaad Hai Tumko

Woh Jab Dil Ko Churaya Tha

Churaayi Cheez Ko Tumne

Khuda Ka Ghar Banaya Tha

Woh Jab Kehty Thy

Mera Naam Tum Tasbih Mein Padhty Ho

Mohabbat Ki Namaazon Ko

Kaza Karny Sy Darty Ho

Magar Ab Yaad Aata Hai

Woh Baatein Thi Mahez Baatein

Kahin Baaton Hi Baaton Mein

Mukarna Bhi Zaroori Tha

Teri Aankhon Ke Dariya Ka

Utarna Bhi Zaroori Tha


Wahi Hai Sooratein Apni

Wahi Main Hoon Wahi Tum Ho

Magar Khoya Huaa Hoon Main

Magar Tum Bhi Kahin Gum Ho

Mohabbat Mein Daga Ki Thi

So Kaafir The So Kaafir Hain

Mili Hain Manzilein Phir Bhi

Musaafir Thhe Musaafir Hain

Tere Dil Ky Nikaaly Hum

Kahaan Bhatky, Kahaan Pahunche

Magar Bhatky Toh Yaad Aaya

Bhatakna Bhi Zaroori Tha

Mohabbat Bhi Zaroori Thi

Bichhadna Bhi Zaroori Tha

Zaroori Tha Ke Hum Dono

Tawafein Aarzoo Karte

Magar Phir Aarzuon Ka

Bikharna Bhi Zaroori Tha

Teri Aankhon Ke Dariya Ka

Utarna Bhi Zaroori Tha

1 comment: