Saturday, January 18, 2020

tuje dekh kar phool bhi sr ko jhukaty hon gey

                 

Moj ko purkhar si rahon pey chlany waly 

         teri rahon mai kayi phool tuo aaty hon gey

Kuch or akarr jaty hen muje dekh kar kanty

        tuje dekh kr phool bhi sar ko jukaty hon gey

Ik masoom sey dil pey hen jo dhaye gaye

         tery wo sitam tuje yad tuo aaty hon gey

Mery sath jo guzry hen wo lamhy tuje

       kayi bar akely mai staty tuo hon gey

Ik bar mil kar muje itna sa bta dey

             door muje kiya meri kin khtaon na tuje

Tuj ko maloom nahi hai khuda sey aksar

manga chhup k hai meri duaon na tuje

Kisi ujrey huey gulshan mai baharon ki trha

meri khamosh muhabat ko sahara dey

Hey kitna teri yadon mai abhi jalna muj ko

mery hmdam muje itna sa ishara dey

Mery betaab sey jazbon ki hqeeqat ban kr

meri banhon mai aa kar smao tuo sahi

Tery anchal ko sja don stary ley kar           shab-e-hijraan ko aa kar sjao tuo sahi

Kin andheron mai mery rahbar ly aye ho moje

meri rahon mai koe dhundla saa sitara bhi nahi

Moat ki goad mai ly jaen gi yaden muj ko

bhool jaon muj ko ye gavara nahi

Kayi baar tery shehar ki sooli pey charha hon

is bahany sey k tera mai nzara kar lon

Kayi baar ye socha hai gham-e-hijar k dar sey

apni nadaan muhabat sey kinara kar lon

 Kabhi hey wasl ki khuahish kabi dard-e-hijar

   aisey halaat mai jtuj ko bhala chahon kab  tak



2 comments: